Latest News and Status

Post Top Ad

Post Top Ad

Monday 28 August 2017

India Aur China ne Doklam Border par Samjota kar liya hai.

India aur China Doklam


Monday ko India ki videsh ministary ne kaha hai ki "India aur China Doklam" border dispute per apni apni sena o ko piche hatane par samjota kar liya hai jo pichle do mahino se stand off position me thi.

Ye decision agle sunday ko jo 'BRICS' nation  ki meeting hone vaali hai jisme BRAZIL,RUSSIA,SOUTH AFRICA part lene vale hai or Hamare PRIME MINISTER Shri Narendra Modi bhi ishme jane vale hai ye bhi kaha gaya hai.

Bharat aur China ke soldier bahut hi lambe samay se Doklam triengle par stand off position par the. Doklam India China aur Bhutan ki border par aaya hua bada hi critical place hai jisme bharat ne bhutan ke Liye China ke against me bahut si strong stand liya hai.

Indian Ministry ne kaha hai ki Dono aur se ye decide kiya hai ki ye problem Deplomatic talk se solve kiya jayega.

Pichle do hapto se bharat aur China ke bich Deplomatic baat chit hui hai ye Indian Ministry ne kaha hai.


India and China Asia ke do sabse bade desh jinke beach 1962 me bhi war hua tha unhone apni sena e kis Conditions par piche lene ka decide kiya hai ishka abhi detailed annauncement nahi kiya hai.

Is aadhar par ye kaha ja shakta hai ki Doklam Border par dono desho ne sena e piche hat rahi hai aur aage dhire dhire karke sabhi sena  e piche hat jayegi.

China ki videsh mantralay ne kaha hai ki Indian solder himalaya ke remote area me se hata liye gaye hai bharat sarkar dwara aur china Doklam par apne solder petroling jari rakhenge.

aur China ne kaha hai china apne seema o ki raksha ke liye apne adhikaro ka prayog karta rahega histry me jo border tay ki gai hai is hisab se vo apni border ko protect karne ke liye sabhi shaktio kaprayog karege.

Itna hi nahi China ki Defence ministry ne to yah bhi kaha hai ke Chines solder vahi par stand off position par rahenge.

Aur China ne yah bhi kaha hai ki bharat ko history me jo bhi ghatna ghatit hui hai ushme se sikh leni chahiye or international law ka samman karna chahiye or dono ko milkar shanti or Border ko lekar baat chit karni chahiye.

Duniya me Shanti ka abhav hai or shati ko surksha chahiye. Chines army apni or apne nagriko ki shanti or salamati ko surakshit karne ke liye tatpar hai or karti rahegi.

Yah dispute june me suru hua tha jab china Doklam par road bana raha tha yah ilaka china aur bhutan dono claim kar rahe the tab indian army ne apne soldier bheje the chines army ko rokne ke liye. bharat ka yah kehna hai ki doklam ilaka bharat ki suraksha ke najarie se bahut hi important hai north east me bhartiy border ki suraksha ke liye.

ishke liya china ne bharat ko bahut sari dhamkiya di hai ki india ko 1962 ke war me jo bhugat na pada tha usse bhi bahut bura haal karenge ham or bhi bahut sari dhamkiya de rakkhi hai. kyun ki is Area me India ka Koi hak nahi banta hai bolne ka.

Bharat ke ek politision ne kaha hai ki itne chote tukde ke liye itne bade asia ke do giant lade ye acchi baat nahi hai.Doklam to abhi naya or Chota hissa hai bharat or china ke bich abhi bhi 3500 km ka area hai jisme border abhi tak deside nahi kiya gaya hai dono desh ise apna part mante hai.

Agar Dono desh ke bich soldiers ko piche lene ke liye samjota hua hai to lagta hai ki Bricks ki meeting jo hai vo acche se rahegi varna agra nahi liye hai to kaise india or chine Bricks me shanti ke liye baat kar shakte hai hai ye dekhne ki baat rahegi.

 

 

 

 

 

No comments:

Post a Comment

Holi Status Wishes SMS Quotes Shayri Songs Festival of Colour

बदरी छाई है फागुन की, फिर हुड़दंग मचाएंगे एक रंग में सबको रंगकर फिर से होली मनाएंगे… Happy Holi

Random Posts

randomposts
Hi Friends My Name Is Mukesh Rathod.
I am Blogger, Internet Marketer, SEO Expert and Also Youtuber.
I am From Ahmedabad Gujarat.

Contact Form

Name

Email *

Message *

Total Pageviews